Responses

  1. Tere saath guzarun jo ek pal bhi kabhi
    Sach kahta hun is dil ko sukun aa jaaye

    Berang bekhabar bikhri si zindagi me
    Tere aane se jaise ek junoon aa jaaye

    Tere bin hun adhura jaise shwas bin kaaya
    Jo tu kabhi samjhe to sukun aa jaaye

    Aur jo tu muskurakar ek baar idhar dekh le
    Tere saath hone ka fir se gurur aa jaaye

    Tere hone se hi hona hai meri in saanson ka
    Jo tujhse ye kah dun to sukun aa jaaye

    Tere sajde me rahkar hai jaana khud ko
    Tere pyar ke saaye me ye zindagi kho jaaye

    Mere pyar ke taraane teri saanson me base
    Tu jo inhe gunguna le to sukun aa jaaye

    Tere surkh adharon ke tarannum ki khwahish
    Tere honthon ko choom lun to sukun aa jaaye

    Madhosh karne wali teri saanson ki garmahat
    Mahsoos jo kabhi kar lun to sukun aa jaaye

    Anant Akansha jiski Akash hai seema
    Akansha Akash se mil jaaye to sukun aa jaaye

New Report

Close