Talaash-e-Yaar…..!

Zindagi Jo Guzri Hamari, Talaash-e-Yaar Ke Khaatir
Kuch Logo Ne Waajib Kaha, To Kuch Ne Aawaargi Se Nawaza Hamko…..!!

Imtihaan-e-Sabar Bhi Aur Gam-e-Dil Ko Khusamadin
Charcha-e-Yaar Aur Shekhi Mohobbat ki
Kabhi Ham Gumshuda To Kabhi Ye Dil GumShuda
Har Jagah Hoti Baatain Gurbat ki

Zindagi Jo Guzri Hamari, Talaash-e-Yaar Ke Khaatir
Kuch Logo Ne Waajib Kaha, To Kuch Ne Aawaargi Se Nawaza Hamko…..!!

Na Haseen Sawere Ki Kahani, Na Dhalte Shaam Ka Kissa
Sabki Zubaan Per Sirf Hamare Naam Ka Kissa
Koi Samajhta Sohrat-e-Ishq, Kuch Ne Majhab-e-Dil Kaha Esko
Kisi Ki Nighaan Main Nafrat-e-Aansoon, Kisi Main Khusi Ka Khazana

Zindagi Jo Guzri Hamari, Talaash-e-Yaar Ke Khaatir
Kuch Logo Ne Waajib Kaha, To Kuch Ne Aawaargi Se Nawaza Hamko…..!!

Do Pehlu Dikhe Es Mohobbat Ke Hamko
Acchi aur Buraai Dono Se Pala Pada
Kuch Ne Daraya Hame Sooli Ka Naam Le Kar
Kuch Ne Hame Shakash-e-Boosdil Kaha

Zindagi Jo Guzri Hamari, Talaash-e-Yaar Ke Khaatir
Kuch Logo Ne Waajib Kaha, To Kuch Ne Aawaargi Se Nawaza Hamko…..!!

Armaan-e-Dil Kuch Badrang Mile The
Kuch Khuwaishon Ka Jaise Intkaal Hua
Gunaah-e-Khass Tha Ye Sabki Nazar Main
Kuch Ka Faisla Hamare Haq Main Hua

Zindagi Jo Guzri Hamari, Talaash-e-Yaar Ke Khaatir
Kuch Logo Ne Waajib Kaha, To Kuch Ne Aawaargi Se Nawaza Hamko…..!!

Related Articles

Responses

+

New Report

Close