SOONAA AANGAN–AASMAAN KA

———————————————————-
aii kash— ki, sabhi bachche hote
sang hote aur sachche hote
kyu badh gye— jawaan ho gye
khudd se hi anjaan ho gye
kya rang the bachpan ke
haatho mei haath– kandhe pe haath
muskaan saath mei pal–pal
kadd kya badhaa–(?) nashaa hi chadhaa
WO pal dhundhte–pareshaan ho gye
uphaas ke sang-muskaan ho gye
wo,khilkhilaana-daurrna-khelnaa
vartmaan hairaan hai,aise pll bhi the
tanikk pataa n tha–mausam me saath
badal jaate hain dil aur zazbaat
khilkhilaahat maano–sunsaan ho gye
sannnnatte ki pehchaan ho gye
vaani ki lachak kathhor ho gayee
nayano ki plko ne bhi nzre churayee
ashqo ke praan bejaan ho gye
dil aur dimaag chhorr chle ek duje ko
ghar tha armaano ka tute makaan ho gye
aise mei to——-
swarrnimm wo bachpan ki raate,
ghanto saath hoti thi——
baate—- mulaaqaate
dil–dimaag–armaane– khwahishe
saath- saath hoti thi harrpall
rang the sabhii——
millkarr Jo bante hai—
indradhnush snehill,
jo mano vyomm mei—-
lahraate se de jaate the
asim khushiya–apnaapnn–pyaar
jinke aabhaas ko–ehsaas ko
gawaa baithaa hai dorr vartmaan ka
bharkarr bhi soonaa aangan–aasmaan kaa………….I

Related Articles

Responses

+

New Report

Close