MAANAVTAA KI SAHI KAHAANI HOGI

Chhtpataa rahi insaaniyat
haivaaniyat ke quaid mei-
sisak…rahaa bhaaichaaraa
bddniyatee ke aeib mei.

khoon ki qeemat nhi…(?)
wo to, bss dikhne mei laal hai
hrr koi ek-duze ko jhhpattne ki
saazisho mei hi bss behaal hai

tohfaa biawasghaat ka —
bddniyatee ki bazaar se lete
prem viheen maahaul,mei dekho
hrr koi sirf laachaar se hai dikhte

hrrpnaa–hrrppnaa–aurr hrrppnaa
maano,hrrpp lenaa hi jeet ho
maansiktaa mei pariwartann aisa..??
maano,milnaa julnaa haar-jeet ho

maanavtaa chhut rahaa hai
aupchaariktaa loot rahaa hai–
rishto ke bandhan ke ehaaas ko
phirr bhi,n jaane kyu- adharr chup hai
aurr,dil tarrapp rahaa—- aabhas ko

“samajh” jise log bhulaa rahe ,
“apnaapann” jise logg bhool rahe
“nijtaa” ki seemitataa ko tyaagkrr–
apnepann ki samajh banaani hogi..
tabhi maanavtaa ki sahi kahani hogi…I

Related Articles

Responses

+

New Report

Close