baatain

!!!!! SAGAR KI KALAM SE !!!!!

kuch haseen raat thi
kuch haseen teri yaadain

kuch haseen chand tha
kuch haseen teri baatain

yaadon aur baaton ke khayal main
kab chand aankho se auzal ho gaya

suraz ki khubsoorat laali main
na jaane kab din ka aagman ho gaya

phir raat ka intzaar rahega
phir tere khawabo ka intzaar rahega

phir se dhoob jaunga teri yaadon main
phir se teri bahon main aane ka intzaar rahega

phir se wohi yaadon aur baaton ka saath rahega

@@ SAGAR @@
7/10/15 :: 7:37 PM … (610) … ©

Related Articles

Responses

+

New Report

Close