tawakku

Umar hai choti,khawhishe jada hai.
zindgi ye bta,ab tera kya irada hai..
siyah hai kam,panne jada hai.
khawhishe kuch aur, likhne ka irada hai..
zindgi ye bta ,ab tera kya irada hai…..
rasten hai lambi muskile bhi jada hai.
andhiyon ka bhi aane, ka irada hai..
zindgi ye bta ,ab tera kya irada hai….
tawakku kya kre,,ye bas yada hai.
dekhta nhi fareb khane ka,kya irada hai..
zindgi ye bta ,ab tera kya irada hai….
milna mohabbat nhi, ab matlab, jada hai.
sayad akele rehna,insaan ka ab irada hai.
zindgi ye bta,ab tera kya irada hai……
hichkiyan aaj hme aae kuch jada hai.
hme yaad karne ka, unka aaj irada hai…
zindgi ye bta ab.tera kya irada hai…..

Related Articles

Responses

+

New Report

Close