Aasu zaroor hai mere aankhon me
Par yeh khushi ke hai ,gham ke na samjho
Ruk zaroor gayi hu mein
Par mein dar gayi, yeh bilkul na socho
Darti nahi mein zindagi se
Sirf use samajhne ki deri hai
Haara nahi hai man mera
Sirf khud ko sambhalne ki deri hai
Aankhein moond liye hai Maine
Mein khud ko dekhna chahti hu
Ankhon ke neeli jheel mein nahi
Dil ke saagar me doobna chahti hu
Phir jab pehchan loongi mein khud ko
Aage badungi mein apni raah pe
Won raah Jo aasman se ooncha jaata hai
Khoobsurat sitaron ke beech mein
Haan….wahi chamakte sitaron me 

Related Articles

Responses

+

New Report

Close